Taq-e-abru Hain Pasan-e-taba Ek Dil-KHwah Ke
taq-e-abru hain pasan-e-taba ek dil-KHwah ke
umr hoti hai basar gumbad mein bismillah ke
jaun kyun-kar bin bulae us but-e-dil-KHwah ke
be-talab koi nahin pahuncha huzur allah ke
ru-e-nurani ka tere ho gaya hai shak jo yar
raat bhar dauDa hun kya kya pichhe pichhe mah ke
sham-e-wasl aai idhar maujud thi subh-e-firaq
kam ghaDi se bhi pahar hain is shab-e-kotah ke
dagh-e-ishq-e-husn ka luqma niwala hai kaDa
sair-dil hain khane wale is gham-e-jaan-kah ke
na-tawani se hai haalat ghair hijr-e-yar mein
dam nikal jata hai apna sath har ek aah ke
ishq-e-but mein koh par ja ja ke sar paTka kiye
panw ko sadme rahe past-o-buland-e-rah ke
salaha ishq-e-zanaKHdan ne lahu pani kiya
muddaton roe hain ja ja kar kinare chah ke
hashr tak yun hi rahenge ghamza-o-andaz-o-naz
ishq-e-ali-manzilat se husn-e-wala-jah ke
ja nikalta hai jo mujh sa tishna-e-didar-e-husn
zikr-e-yusuf karne lagte hain kabutar chah ke
manzil-e-maqsud mein chal kar nikalunga unhen
aablon mein ye jo hain paiwast kanTe rah ke
us but-e-be-din ki zulfon ka ishaara hai yahi
is bala mein wo phasen aashiq hon jo allah ke
kab samai hai nazar mein raushni-e-aftab
chashm-e-bina rakhte hain zarre teri dargah ke
(1083) Peoples Rate This