Surat Se Isko Behtar Surat Nahin Hai Koi
surat se is ki behtar surat nahin hai koi
didar-e-yar si bhi daulat nahin hai koi
aankhon ko khol agar tu didar ka hai bhuka
chaudah tabaq se bahar neamat nahin hai koi
sabit tere dahan ko kya mantiqi karenge
aisi dalil aisi hujjat nahin hai koi
ye kya samajh ke kaDwe hote hain aap hum se
pi jaega kisi ko sharbat nahin hai koi
main ne kaha kabhi to tashrif lao bole
mazur rakhiye waqt-e-fursat nahin hai koi
hum kya kahen kisi se kya hai tariq apna
mazhab nahin hai koi millat nahin hai koi
dil le ke jaan ke bhi sail jo ho to hazir
hazir jo kuchh hai us mein hujjat nahin hai koi
hum shaeron ka halqa halqa hai aarifon ka
na-ashna-e-mani surat nahin hai koi
diwanon se hai apne ye qaul us pari ka
KHaki o aatishi se nisbat nahin hai koi
hazhda hazar aalam dam-bhar raha hai tera
tujh ko na chahe aisi KHilqat nahin hai koi
nazan na husn par ho mehman hai chaar din ka
be-e'tibar aisi daulat nahin hai koi
jaan se aziz dil ko rakhta hun aadmi hun
kyun-kar kahun main mujh ko hasrat nahin hai koi
yun bad kaha karo tum yun mal kuchh na samjho
hum sa bhi KHair-KHwah-e-daulat nahin hai koi
main panch waqt sajda karta hun is sanam ko
mujh ko bhi aisi-waisi KHidmat nahin hai koi
ma-o-shuma kah-o-mah karta hai zikr tera
is dastan se KHali sohbat nahin hai koi
shahr-e-butan hai 'atish' allah ko karo yaad
kis ko pukarte ho hazrat nahin hai koi
(1111) Peoples Rate This