Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa5fadfabc6a3ec52107426827aca054, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya

sun to sahi jahan mein hai tera fasana kya

kahti hai tujh ko KHalq-e-KHuda ghaebana kya

kya kya ulajhta hai teri zulfon ke tar se

baKHiya-talab hai sina-e-sad-chaak shana kya

zer-e-zamin se aata hai jo gul so zar-ba-kaf

qarun ne raste mein luTaya KHazana kya

uDta hai shauq-e-rahat-e-manzil se asp-e-umr

mahmez kahte hainge kise taziyana kya

zina saba ka DhunDti hai apni musht-e-KHak

baam-e-buland yar ka hai aastana kya

chaaron taraf se surat-e-jaanan ho jalwa-gar

dil saf ho tera to hai aaina-KHana kya

sayyaad asir-e-dam-e-rag-e-gul hai andalib

dikhla raha hai chhup ke use dam-o-dana kya

tabl-o-alam hi pas hai apne na mulk o mal

hum se KHilaf ho ke karega zamana kya

aati hai kis tarah se mere qabz-e-ruh ko

dekhun to maut DhunD rahi hai bahana kya

hota hai zard sun ke jo namard muddai

rustam ki dastan hai hamara fasana kya

tirchhi nigah se tair-e-dil ho chuka shikar

jab tir kaj paDe to uDega nishana kya

sayyaad-e-gul-ezar dikhata hai sair-e-bagh

bulbul qafas mein yaad kare aashiyana kya

betab hai kamal hamara dil-e-hazin

mehman sara-e-jism ka hoga rawana kya

yun muddai hasad se na de dad to na de

'atish' ghazal ye tu ne kahi aashiqana kya

(4217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Sun To Sahi Jahan Mein Hai Tera Fasana Kya in PDF.