Shohra-e-afaq Mujh Sa Kaun Sa Diwana Hai
shohra-e-afaq mujh sa kaun sa diwana hai
hind mein main hun paristan mein mera afsana hai
said-gah-e-murgh-e-dil ruKHsara-e-jaanana hai
dam-e-zulf-e-ambarin hai KHal-e-mushkin dana hai
husn se rutba hai apne ishq-e-kaamil ka buland
aastana par pari hai baam par diwana hai
is mein rahta hai safa-e-ru-e-jaanan ka KHayal
dil nahin pahlu mein apne aaina ka KHana hai
bechta hun dil ko jo mahbub chahe mol le
bosa qimat hai tawajjoh ki nazar baiana hai
phuTen wo aankhen nigah-e-bad se jo dekhen tujhe
aatishin ruKHsar mijmar KHal kala dana hai
roz-o-shab us shama-ru ko bhejta hun KHatt-e-shauq
nama-bar din ko kabutar raat ko parwana hai
KHar KHar-e-dil ghanimat jaanta hun ishq mein
zulf-e-dud-e-ah ki aarastagi kashana hai
sharh likkha chahiye us ki bayaz-e-subh par
matla-e-KHurshid bait-e-abru-e-jaanana hai
haalat-e-aina rakhta hai safa se dil mera
aashna se aashna begana se begana hai
qatl se mujh saKHt-jaan ke munkir ai qatil na ho
hujjat-e-qate teri talwar ka dandana hai
waste har shai ke duniya mein muqarrar hain mahal
shahr mein jab tak hai majnun ganj-e-be-virana hai
bagh-e-alam mein nahin us shoKH sa koi hasin
gul hai apna yar yusuf sabza-e-begana hai
ab nahin ai yar jauban ko tere bim-e-zawal
KHatt-e-mushkin husn ki jagir ka parwana hai
haal hai jis ka usi ke waste hai KHushnuma
naqs hai talwar ka wasf arra ka dandana hai
yar khinche tegh tere qatl karne ke liye
sar jhuka 'atish' ye ja-e-sajda-e-shukrana hai
(1026) Peoples Rate This