Roz-e-maulud Se Sath Apne Hua Gham Paida
roz-e-maulud se sath apne hua gham paida
lala-san dagh uThane ko hue hum paida
hun main wo naKHl ki har shaKH meri aara hai
hun main wo shaKH ki hon barg-e-tabardam paida
main jo rota hun mere zaKHm-e-jigar hanste hain
shadi o gham se kya hai mujhe tauam paida
chahne wale hazaron nae maujud hue
KHat ne us gul ke kiya aur hi aalam paida
dard sar mein ho kisi ke to mere dil mein ho dard
waste mere hua hai gham-e-alam paida
zaKHm-e-KHandan hain be-ainih lab-e-KHandan apne
shadmani mein hai yan haalat-e-matam paida
aasman shauq se talwaron ka meinh barsa de
mah-e-nau ne tere abru ka kiya KHam paida
kaam apna na hua jab kaji-e-abru se
gesu-e-yar hue darham-o-barham paida
shubh hota hai sadaf ka mujhe har ghunche par
kahin moti na karen qatra-e-shabnam paida
chup raho dur karo munh na mera khulwao
ghafilo zaKHm-e-zaban ka nahin marham paida
qulzum-e-fikr mein har-chand lagae ghote
durr-e-mazmun koi yaron se hua kam paida
dost hi dushman-e-jaan ho gaya apna 'atish'
nosh-e-daron ne kiya yan asar-e-sam paida
(1011) Peoples Rate This