Qad-e-sanam Sa Agar Aafrida Hona Tha
qad-e-sanam sa agar aafrida hona tha
na sarw-e-bagh ko itna kashida hona tha
hua hai zulf se gustaKH kis qadar shana
hamare pas bhi dast-e-burida hona tha
na khinchna tha zuleKHa ko daman-e-yusuf
usi ka parda-e-ismat darida hona tha
diya na sath jo sabr-o-qarar ne na diya
rawana mulk-e-adam ko jarida hona tha
miTae se koi miTta hai baatilon ke haq
kuchh iKHtiyar se kya barguzida hona tha
na jaanta tha ghazab hai nigah ka tir ai dil
tujhi ko samne aafat-rasida hona tha
rulata sham-o-sahar kis tarah na tale-e-past
buland sar se mere aab-dida hona tha
gurez-e-yar ne barbaad kar diya hum ko
ghubar-e-rah ghazal-e-ramida hona tha
na aai daman-e-daya mein nind ai 'atish'
darun-e-daman-e-KHak aaramida hona tha
(1127) Peoples Rate This