Na-fahmi Apni Parda Hai Didar Ke Liye
na-fahmi apni parda hai didar ke liye
warna koi naqab nahin yar ke liye
nur-e-tajalli hai tere ruKHsar ke liye
aankhen mari kalim hain didar ke liye
fidye bahut us abru-e-KHamdar ke liye
chu rang ki kami nahin talwar ke liye
qaul apna hai ye subha-o-zunnar ke liye
do phande hain ye kafir-o-din-dar ke liye
lutf chaman hai bulbul gulzar ke liye
kaifiyat-e-sharab hai mai-KHwar ke liye
seri na hogi tishna-e-didar ke liye
pani nahin chah-e-zaqan-e-yar ke liye
utni hi hai numud meri yar ke liye
shohra hai jis qadar mare ashaar ke liye
dasht adam se aate hain bagh jahan mein hum
be-dagh lala-o-gul be-KHar ke liye
shamshad apne tere ko beche to lijiye
is lala ro ki lipaTti dastar ke liye
do aankhen chehre par nahin tere faqir ke
do Thekre hain bhik ke didar ke liye
surma lagaya kijiye aankhon mein mehrban
iksir ye sufuf hai bimar ke liye
halqa mein zulf-e-yar ki moti piroiye
dandan zarur hain dahan-e-mar ke liye
guft-o-shunid mein hun basar din bahaar ke
gul ke liye hai gosh zaban KHar ke liye
be-yar sar paTakne se hilta hai ghar mera
rahta hai zalzala dar-o-diwar ke liye
baiTha jo us ke saya mein diwana ho gaya
saya pari ka hai teri diwar ke liye
bulbul hi ko bahaar ke jaane ka gham nahin
har barg hath malta hai gulzar ke liye
ai shah-e-husn zulf o ruKH o gosh chashm o lab
kya kya ilaqe hain teri sarkar ke liye
chaal abr ki chala jo gulistan mein jhum kar
taus ne qadam tere rahwar ke liye
aaya jo dekhne tere husn-o-jamal ko
pakDa gaya wo ishq ke begar ke liye
hajat nahin banao ki ai naznin tujhe
zewar hai sadgi tere ruKHsar ke liye
bimar tandurust ho dekhe jo roe yar
kya chashni hai sharbat didar ke liye
is baadshah-e-husn ki manzil mein chahiye
baal-e-huma ki par chati diwar ke liye
sauda-e-zulf-e-yar mein kafir hua hun mein
sumbul ke tar chahiyen zunnar ke liye
zanjir o tauq jo ki hai bazar-e-dahr mein
sauda hai us pari ke KHaridar ke liye
chuna banenge baad-e-fana apne ustuKHan
daulat sarae yar ki diwar ke liye
mashuq ki zaban se hai dushnam dil pazir
shirini zahr hai teri guftar ke liye
jaan se aziz tar hai mare dil ko dagh ishq
mahtab lahad ki shab-e-tar ke liye
wo mast KHwab chashm hai koi bala-e-bad
kya martaba hai fitna-e-bedar ke liye
KHalwat se anjuman ka kahan yar ko dimagh
wo jins be-baha nahin bazar ke liye
pahna hai jab se tu ne shab mah mein use
kya kya shagufe phulte hain haar ke liye
chhakDa hue hain soch ke rah-e-wafa mein paon
pahiye lagaiye unhen raftar ke liye
jo mushtari hai banda hai us KHush-jamal ka
yusuf bane ghulam KHaridar ke liye
sone ke patte howen har ek gul ke kan mein
maqdur ho jo bulbul gulzar ke liye
gul-ha-e-zaKHm se hun shahadat-talab nihaal
taufiq-e-KHair ho teri talwar ke liye
andher hai jo dam ki na is ke ho raushni
yusuf mera charagh hai bazar ke liye
ehsan jo ibtida se hai aatish wahi hai aaj
kuchh intiha nahin karam-e-yar ke liye
(1231) Peoples Rate This