Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_58de886d977d0aedb2baf628ad241f93, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya

mohabbat ka teri banda har ek ko ai sanam paya

barabar gardan-e-shah-o-gada donon ko KHam paya

ba-rang-e-shama jis nai dil jalaya teri duri main

to us nai manzil-e-maqsud ko zer-e-qadam paya

baja karte hain aashiq taq-e-abru ki parastari

yahi mehrab-e-dair-o-kaba mein bhi hum ne KHam paya

nishana tir-e-tohmat ka hai mera aKHtar-e-tale

uThaun dagh main to aasman samjhe diram paya

hazaron hasraten jawengi mere sath duniya se

sharar-o-barq se bhi arsa-e-hasti ko kam paya

siwae ranj kuchh hasil nahin hai is KHarabe main

ghanimat jaan jo aaram tu ne koi dam paya

nazar aaya tamasha-e-jahan jab band kin aankhen

safa-e-qalb se pahlu mein hum ne jam-e-jam paya

jalaya aur mara husn ki nairang-sazi ne

kabhi barq-e-ghazab us ko kabhi abr-e-karam paya

firaq-anjam kaam aaghaz-e-waslat ka bila shak hai

bahut roya main ruh-o-tan ko jab mushtaq hum paya

har ek jauhar mein us ka naqsh-e-pa-e-raftagan samjha

dam-e-shamshir-e-qatil jada-e-rah-e-adam paya

hamara kaba-e-maqsud tera taq-e-abru hai

teri chashm-e-siyah ko hum ne aahu-e-haram paya

hua hargiz na KHatt-e-shauq ka saman durust 'atish'

siyahi ho gai nayab agar hum ne qalam paya

(1128) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Mohabbat Ka Teri Banda Har Ek Ko Ai Sanam Paya in PDF.