Koi Achchha Nahin Hota Hai Bari Chaalon Se
koi achchha nahin hota hai bari chaalon se
lab-e-baam aa ke khaDe ho na khule baalon se
roz-o-shab kis liye rahta hun ilahi betab
na to goron se mohabbat na mujhe kalon se
josh-e-wahshat mein jo jangal ki taraf ja nikla
tap chaDhi sher-e-niyastan ko mere nalon se
koi kuchh ishq ka karta hai bayan koi kuchh
tang aaya hun main is qaziya ke dallalon se
beshtar subh-e-shab-e-wasl se hum guzrenge
zor-e-adbar chalega na KHush-iqbaalon se
mast hathi hai teri chashm-e-siyah mast ai yar
saf-e-mizhgan use ghere hue hai bhaalon se
ru-e-KHuban se milega hamein bosa ki nahin
haal in shaklon ka kuchh puchhiye rammalon se
aarzi husn se nafrat ye hui hai dil ko
rutba zulfon ko nahin makDiyon ke jalon se
KHat-e-shab-gun ne nikal kar abas andher kiya
kafiristan to wo ruKH aage hi tha KHalon se
do jahan hashr ke din howenge baham maujud
muttafiq honge idhar wale udhar walon se
dil hasinon ke tasawwur se banaya KHali
aaina-KHanon mein kasrat rahi timsalon se
kuchh to halka karen KHar-e-rah sahra-e-junun
bojh langar ka hue hain kaf-e-pa chhaalon se
in ke boson ki tamanna hai labon ko 'atish'
aaina kasb-e-safa karte hain jin galon se
(1088) Peoples Rate This