Khaar Matlub Jo Howe To Gulistan Mangun
KHar matlub jo howe to gulistan mangun
bijli girne ko jo ji chahe to baran mangun
shama gul howe jo subh-e-shab-e-hijran mangun
os paDni bhi ho mauquf jo yaran mangun
KHak mein bhi jo milun main to kisi sahra mein
tum se miTTi bhi na ai gabr o musalman mangun
baKHt-e-wazhun ne zaban ko ye asar baKHsha hai
talKHi-e-marg maza de jo namakdan mangun
KHana-e-dil mein karun dagh-e-mohabbat ko talab
raushni ke liye is ghar ke jo mehman mangun
padshahi se faqiri ka hai paya baala
boriya chhoD ke kya taKHt-e-sulaiman mangun
ranj se ishq ke hai raht-e-duniya bad-tar
zaKHm-e-KHandan hun agar main gul-e-KHandan mangun
de diya kijiye saudai tumhaara hun miyan
sunghne ko jo kabhi zulf-e-pareshan mangun
aashiqe-e-dast-e-nigarin hun ajab kya is ka
bhik dariya se agar panja-e-marjaan mangun
mewe par bagh-e-jahan mein ho jo dil ko raghbat
shajar-e-husn se main seb-e-zanaKHdan mangun
jama-e-jism bhi rakhne ka nahin dast-e-junun
pairahan-e-KHak mein diwana-e-uryan mangun
yas-o-hirman hun jo lohe ke chane bhi to chabaun
neamat-e-ishq ke qabil lab-o-dandan mangun
milti ho mangne se bagh-e-jahan mein jo murad
gul se bulbul ke kafan ke liye daman mangun
kab se dar par tere sail hun main 'atish' ki tarah
wo mile mujh ko jo kuchh ai shah-e-KHuban mangun
(1033) Peoples Rate This