Kaun Se Dil Mein Mohabbat Nahin Jaani Teri
kaun se dil mein mohabbat nahin jaani teri
jis ko sunta hun wo kahta hai kahani teri
kuchh dahan hi nahin wahm-e-shoara ke nazdik
mu se barik kamar bhi hai gumani teri
jis ke aage se guzarta hai wo kahta hai yahi
dekhi ai ruh-e-rawan hum ne rawani teri
shisha-e-mai se koi meri zabani kah de
KHush nahin aati hai ye pamba-e-dahani teri
kya teri shan hai qurban hon ai afw-e-karim
aas rakhta hai har ek fasiq o zani teri
is KHarabi mein tere waste phirte hain KHarab
justuju hum ko hai ai kunj-e-nihani teri
ain ehsan hai mere safha-e-dil par mujh ko
ek taswir agar khinch de 'mani' teri
subh tak sham se karti hai zaban zikr-e-jamal
nind aati hai kise sun ke kahani teri
misl-e-gul hans ke kisi roz tu dil ko KHush kar
KHun rulati hai hamein ghuncha-dahani teri
naz-o-andaz-o-ada mein hai taraqqi dah-chand
fitna tifli thi qayamat hai jawani teri
kaun se ghalla ka dana tu ai dana-e-KHal
hum ne arzani mein bhi pai girani teri
garm-joshi se jalaya kare kashf o KHirman
barq ho sakti nahin shoKHi mein sani teri
jaan ki tarah se rakhta hai aziz ai gul-ru
dagh-e-dil lala ne samjha hai nishani teri
misra-e-tegh hai har misra-e-mauzun 'atish'
dekh li yar meri saif-zabani teri
(1132) Peoples Rate This