Kaba O Dair Mein Hai Kis Ke Liye Dil Jata
kaba o dair mein hai kis ke liye dil jata
yar milta hai to pahlu hi mein hai mil jata
KHidmat-e-yar mein main jabki hun sail jata
kuchh na kuchh bosa o dushnam se hai mil jata
tere danton se jo hone ko muqabil jata
surat-e-ashk guhar KHak mein mil mil jata
phal mila hai ye teri tegh se hum ko ai turk
phuT ki tarah har ek zaKHm hai khil khil jata
ruKH ke hote hue DhunDa na dahan ka mazmun
sahal ko chhoD ke kyun jaanib-e-mushkil jata
par to katre hain yaqin hai ki chhuri bhi phere
zamzamon se mere sayyaad hai hil hil jata
zaKHm-e-kari ki teri tegh se allah-ri KHushi
raqs karta hua duniya se hai bismil jata
rah bhule hue haji hai bhaTakta nahaq
kabatullah jo jata to su-e-dil jata
tarfa rakhti hai KHarabaat-e-mughan kaifiyyat
hoshiyar aa ke hai is bazm se ghafil jata
rah mein shan-e-karimi hai teri bhar deti
phir ke KHali kisi dar se jo hai sail jata
ai saba tu hi uDa kar ruKH-e-laila dikhla
dast-e-majnun nahin ta-parda-e-mahmil jata
kaun si rahat-e-jaan ki hain ye aankhen mushtaq
kar ke andher hai wo raunaq-e-mahfil jata
aamad-e-yar ki kanon se suni hai jo KHabar
chhup ke pahlu se hai aankhon ki taraf dil jata
(979) Peoples Rate This