Jaan-baKHsh Lab Ke Ishq Mein Iza UThaiye
jaan-baKHsh lab ke ishq mein iza uThaiye
bimar ho ke naz-e-masiha uThaiye
qudsi nigah-e-lutf ke ummid-war hain
aankhen to su-e-alam-e-baala uThaiye
ab ke bahaar mein jo hamein le chale junun
chun chun ke dagh-e-lala-e-sahra uThaiye
KHama se kaam lijiye hangam-e-fikr-e-sher
maidan-e-kar-zar mein ghoDa uThaiye
dikhlae husn-e-yar ka jalwa hamein jo ishq
kis kis tarah se lutf-e-tamasha uThaiye
tujh sa hasin ho yar to kyun-kar na us ke phir
naz-e-baja o ghamza-e-beja uThaiye
muflis hun lakh par yahi dil ko bandhi hai dhun
yusuf ko qarz le ke taqaza uThaiye
fasl-e-bahaar aai piyo sufiyo sharab
bas ho chuki namaz musalla uThaiye
jam-e-sharab-e-nab hai saqi liye khaDa
gardan to misl-e-gardan-e-mina uThaiye
aawaz ko suna ke kiye kan mustafiz
rahm aankhon par bhi kijiye parda uThaiye
josh-e-junun mein dekhiye pichhe na muD ke phir
munh jis taraf ko surat-e-dariya uThaiye
shamshir-zan ho yar bahadur jawan ho
'atish' jihad-e-ishq pe beDa uThaiye
(1405) Peoples Rate This