Is Shash-jihat Mein KHub Teri Justuju Karen
is shash-jihat mein KHub teri justuju karen
kabe mein chal ke sajda tujhe chaar-su karen
aashiq jo husn-e-pak mein kuchh guftugu karen
daman ka pichhe nam len pahle wazu karen
sharminda hun zamin mein gaDen surKH-ru karen
ustadgi jo sarw tere ru-ba-ru karen
paida karen jo tujh ko unhin ko hai dastaras
pamard hain wahi jo teri justuju karen
le ja chuki chaman mein saba bu-e-zulf-e-yar
sumbul ke silsile ko bhi barham wo mu karen
afsana-goi afi-e-gesu-e-yar mein
KHamosh hon charagh jo hum guftugu karen
diwangi ka silsila jawe na hath se
daman ko phaDiye jo gareban rafu karen
ai baadshah-e-husn faqiron ki tarah se
aashiq dua-e-KHair tujhe ku-ba-ku karen
didar-e-am kijiye parda uThaiye
ta-chand banda-ha-e-KHuda aarzu karen
masti mein mujh se be-adabi hogi yar se
mujh ko gunah-gar na jam-o-subu karen
diwan-e-husn mein se hui hai ye intiKHab
aashiq-mizaj sair-e-bayaz-e-gulu karen
wird-e-zaban hai roz-o-shab in ki sana-e-husn
shayan hai jis qadar ki ye shaer ghulu karen
likh dete hain hasinon ko hum KHatt-e-bandgi
mashq-e-sitam ko tark jo ye tund-KHu karen
hairan-kar hun tere ruKHsar-e-saf ka
sakta ho aaina jo tere ru-ba-ru karen
murgh-e-chaman hon zamzama-paira bahaar aai
hangama garm shefta-e-rang-o-bu karen
tasir-dar log hain allah ke faqir
sang-e-sanam hon aab jo hum zikr-e-hu karen
maujud go ki tu hai magar chahta hai shauq
aawara hon talash teri chaar su karen
'atish' ye wo zamin hai ki jis mein ba-qaul-e-'dard'
dil hi nahin raha hai jo kuchh aarzu karen
(1096) Peoples Rate This