Is Ke Kuche Mein Masiha Har Sahar Jata Raha
is ke kuche mein masiha har sahar jata raha
be-ajal wan ek do har raat mar jata raha
ku-e-jaanan mein bhi ab is ka pata milta nahin
dil mera ghabra ke kya jaane kidhar jata raha
jaanib-e-kohsar ja nikla jo main to kohkan
apna tesha mere sar se mar kar jata raha
ne kashish mashuq mein pata hun nai aashiq mein jazb
kya bala aai mohabbat ka asar jata raha
wah-re andher bahr-e-raushni-e-shahr-e-misr
dida-e-yaqub se nur-e-nazar jata raha
nashsha hi mein ya ilahi mai-kashon ko maut de
kya guhar ki qadr jab aab-e-guhar jata raha
ek na ek munis ki furqat ka falak ne gham diya
dard-e-dil paida hua dard-e-jigar jata raha
husn kho kar aashna hum se hua wo naunihaal
pahunche tab zer-e-shajar hum jab samar jata raha
ranj-e-duniya se faragh iza-dahindon ko nahin
kab tap-e-shir utri kis din dard-e-sar jata raha
fatiha paDhne ko aae qabr-e-'atish' par na yar
do hi din mein pas-e-ulfat is qadar jata raha
(903) Peoples Rate This