Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9ca3d455c0ede585c4da4f4b08a8eb07, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua

insaf ki taraazu mein taula ayan hua

yusuf se tere husn ka palla giran hua

ru-e-zamin pe aisa main bismil tapan hua

uD kar mera lahu shafaq-e-asman hua

us barq-wash ka ishq-e-nihani ayan hua

abr-e-siyah aahon ka mere dhuan hua

piri mein mujh ko ishq-e-hasin-e-jawan hua

bar-e-digar kabaade mein zor-e-kaman hua

ahl-e-zamin se saf kahan aasman hua

kis roz burj-e-mah mein farsh-e-katan hua

madum dagh-e-ishq ka dil se nishan hua

afsos be-charagh hamara makan hua

do TukDe ek war mein KHud-e-hubab hai

girdab-e-mauj tegh ko sang-e-fasan hua

dekha jo main ne us ko samundar ki aankh se

gulzar aag ho gai sumbul dhuan hua

milta nahin dimagh hi gesu-e-yar ka

kuchh in dinon mein mushk ka saudagaran hua

KHush-chashmon ke firaq mein khae ye pech-o-tab

shaKH-e-ghazal apna har ek ustuKHan hua

saKHti-e-rah-e-ishq se waqif hue na panw

josh-e-junun mere liye taKHt-e-rawan hua

amboh-e-ashiqan se hua husn ko ghurur

kasrat se mushtari ki ye saudagran hua

paiwand-e-KHak ho gae ek but ki rah mein

patthar hamari qabr ka sang-e-nishan hua

phenka gaya na pir-e-falak nal ki tarah

koi na tifl-e-ashk hamara jawan hua

tu dekhne gaya lab-e-dariya jo chandni

istada tujh ko dekh ke aab-e-rawan hua

insan ko chahiye ki na ho nagawar-taba

samjhe subuk use jo kisi par giran hua

us gul se arz-e-haal ki hasrat hi rah gai

kanTe paDe zaban mein jo mail-e-bayan hua

allah ke karam se buton ko kiya mutia

zer-e-nagin qalam-raw-e-hindostan hua

insaf main ne aalam-e-asbab mein kiya

banwai chandni jo mayassar katan hua

gardish ne us ki surma kiye apne ustuKHan

chakki hamare pisne ko aasman hua

qatil ki tegh se rah-e-mulk-e-adam mili

aahan hamare waste sang-e-nishan hua

fikr-e-buland ne meri aisa kiya buland

'atish' zamin-e-sher se past aasman hua

(1259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Insaf Ki Taraazu Mein Taula Ayan Hua in PDF.