Husn-e-pari Ek Jalwa-e-mastana Hai Us Ka
husn-e-pari ek jalwa-e-mastana hai us ka
hushyar wahi hai ki jo diwana hai us ka
gul aate hain hasti mein adam se hama-tan-gosh
bulbul ka ye nala nahin afsana hai us ka
giryan hai agar shama to sar dhunta hai shola
malum hua soKHta-parwana hai us ka
wo shoKH nihan-ganj ki manind hai us mein
mamura-e-alam jo hai virana hai us ka
jo chashm ki hairan hui aaina hai us ki
jo sina ki sad chaak hua shana hai us ka
dil qasr-e-shahanshah hai wo shoKH us mein shahanshah
arsa ye do aalam ka jilau KHana hai us ka
wo yaad hai us ki ki bhula de do jahan ko
haalat ko kare ghair wo yarana hai us ka
yusuf nahin jo hath lage chand diram se
qimat jo do aalam ki hai baiana hai us ka
aawargi-e-nikhat-e-gul hai ye ishaara
jame se wo bahar hai jo diwana hai us ka
ye haal hua us ke faqiron se huwaida
aaluda-e-duniya jo hai begana hai us ka
shukrana-e-saqi-e-azal karta hai 'atish'
labrez mai-e-shauq se paimana hai us ka
(1358) Peoples Rate This