Husn Kis Roz Humse Saf Hua
husn kis roz hum se saf hua
gunah-e-ishq kab muaf hua
le liya shukr kar ke saqi se
dard is mein hua ki saf hua
tegh-e-qatil par apna KHun jam kar
maKHmal-e-surKH ka ghilaf hua
zahr parhez ho gaya mujh ko
dard darman se almuzaf hua
KHaksari ki ho chuki mearaj
sina apna zamin-e-saf hua
kamar-e-yar ne dikhai aankh
mardum-dida KHal-e-naf hua
wada jhuTa nakarda mard nahin
qaul se feal jab KHilaf hua
fatiha ko jo wo pari aai
sang-e-qabr apna koh-qaf hua
us kamar ke subut mein aajiz
fikr kar kar ke mushigaf hua
rind-mashrab hun mujh ko kya howe
mazhabon mein jo iKHtilaf hua
wo dahan hun na nikla harf-e-ghurur
wo zaban hun na jis se laf hua
gird is kucha ke phira 'atish'
haji se kaba ka tawaf hua
(924) Peoples Rate This