Hubab-asa Mein Dam Bharta Hun Teri Aashnai Ka
hubab-asa mein dam bharta hun teri aashnai ka
nihayat gham hai is qatre ko dariya ki judai ka
asir ai dost tere aashiq o mashuq donon hain
giraftar aahani zanjir ka ye wo talai ka
talluq ruh se mujh ko jasad ka na-gawara hai
zamane mein chalan hai chaar din ki aashnai ka
firaq-e-yar mein mar mar ke aaKHir zindagani ke
raha sadma hamesha ruh o qalib ki judai ka
hui manzur muhtaj na tujh ko apni sail ke
banaya kasa-e-sar wazhgun kasa gadai ka
nazar aati hain har-su suraten hi suraten mujh ko
koi aaina-KHana karKHana hai judai ka
visal-e-yar ka wada hai farda-e-qayamat par
yaqin mujh ko nahin hai gor tak apni rasai ka
bharosa aah par hargiz nahin ai yar aashiq ko
shikar ab tak kahin dekha nahin tir-e-hawai ka
dikhaya husn se eajaz-e-musi cilk-e-qudarat ne
yad-e-baiza banaya chur angusht-e-hinai ka
nahin miTti hai patthar ki lakir ahbab kahte hain
rahega pa-e-but par naqsh apni jabha-sai ka
shikast-e-KHatir-e-ahbab hoti hai durust is se
tawajjoh mein teri ai yar asar hai momyai ka
dil apna aaina se saf ishq-e-pak rakhta hai
tamasha dekhta hai husn is mein KHud-numai ka
kaf-e-afsos malwati hai teri pak-damani
pinha kar shahid-e-ismat ko jama parsai ka
nahin dekha hai lekin tujh ko pahchana hai 'atish' ne
baja hai ai sanam jo tujh ko dawa hai KHudai ka
(1352) Peoples Rate This