Hangam-e-naza Mahw Hun Tere KHayal Ka
hangam-e-naza mahw hun tere KHayal ka
mushtaq hun farishta-e-sahib-jamal ka
pairahan us jawan ne jo pahna hai chhaal ka
milta nahin chaman mein mizaj ek nihaal ka
aaluda be-gunahon ke KHun se hai tegh-e-charKH
na-fahmon ko guman hai shafaq mein hilal ka
shana banenge baad-e-fana apne ustuKHan
uqda khulega gesuon ke baal baal ka
bini suhail mushtari o zohra gosh hain
qutub-e-shumal-e-husn hai til tere gal ka
kis kis bashar ko lai hai duniya fareb mein
kya kya jawan murid hai us pir-zal ka
lati hai wan qaza-o-qadar murgh-e-ruh ko
pani jahan qafas ka hai dana hai jal ka
amrad-parast hai to gulistan ki sair kar
har naunihaal rashk hai yan KHurd-sal ka
ek dam main ja milunga azizan-e-rafta se
kya arsa hai zamana-e-mazi se haal ka
surKH o safed rang se hota hai aashkar
wo jism-e-naznin hai abir o gulal ka
ai dil qaza na aae idhar TikTiki na bandh
goli ka samna hai ye nazzara KHal ka
bosa diye se husn mein hogi kami na yar
hota nahin zakat se nuqsan mal ka
wo chashm hi nahin dil-e-wahshi ki fikr mein
har turk ko hai shauq shikar-e-ghazal ka
zanjir o tauq har baras aa kar pinha gai
diwana hun main baad-e-bahaari ki chaal ka
roz-e-siyah hijr mein mere jale charagh
parwanon ko nasib hua din visal ka
rone ke badle haal par apne hansa kiye
parda hua na fash hamare malal ka
dikhlaya be-naqab jise banda ho gaya
wo ru-e-sada-naqsh hai sahib kamal ka
karti hai yan zaban-e-kamar yar mein kalam
madum hai jawab hamare sawal ka
'atish' lahad se uTThunga kahta ye roz-e-hashr
mushtaq hun main yar ke husn-o-jamal ka
(1009) Peoples Rate This