Gham Nahin Go Ai Falak Rutba Hai Mujhko Khaar Ka
gham nahin go ai falak rutba hai mujh ko KHar ka
aaftab ek zard patta hai mere gulzar ka
zulf ke halqe mein uljha sabza gosh-e-yar ka
ho gaya sang-e-zamurrad KHal chashm-e-mar ka
naKHuda hai maut jo dam hai so hai baad-e-murad
azm hai kashti-e-tan ko bahr-e-hasti yar ka
KHana-e-zanjir se misl-e-sada Darta hun ab
yaad aata hai kaf-e-pa mein khaTakna KHar ka
josh-e-girya ne kiya hai na-tawan itna mujhe
TuTna mumkin nahin hai aansuon ke tar ka
kha gai aaKHir mujhe chashm-e-siyah-e-surmagin
zarq qismat ne kiya hai zangi aadam-KHwar ka
sai-e-la-hasil mudawa-e-mariz-e-ishq hai
thamna mumkin nahin girti hui diwar ka
hath qatil ka gareban tak pahunch sakta nahin
aur fart-e-shauq hai yan zaKHm damn-dar ka
phul jo hai apne gulshan ka sipar ka phul hai
har shajar is bagh mein lata hai phal talwar ka
KHatt-e-ru-e-yar se iza uThai hai zi-bas
sabza se hota hai sadma mere dil ko KHar ka
garche pesh-e-taq-e-abru-e-sanam gesu nahin
kaba par nargha hua hai lashkar-e-kuffar ka
ai sanam teri karanji aankh se sabit hua
rang uD jata hai ru-e-mardum-e-bimar ka
yaad mein teri raqib-e-ru-siyah jaga to kya
martaba aali na ho KHuffash-e-shab-bedar ka
us pari-ru ke jo kuche ka guzarta hai KHayal
ban ke jin saya lipTa hai mujhe diwar ka
uTh ke diwar-e-lahad se murde Takraate sar
ek qayamat hai sanam aalam teri raftar ka
KHam nadamat se kiya mehrab mein kaba ke sar
gardan-e-zahid se bojh uTTha na jab zunnar ka
zindagi mein be-adab hone na de tu roab-e-husn
KHak hai meri pas-az-marg aur daman yar ka
ai sanam aashiq se ruposhi nahin lazim tujhe
parda musa se nahin allah ko didar ka
bu-e-gul 'atish' kahin hoti hai mahsus-e-nazar
afza hai roz-e-mahshar yar ke didar ka
(899) Peoples Rate This