Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_rr2gduijf00h9un9gnthgud8f3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega

fart-e-shauq us but ke kuche mein laga le jaega

kaba-e-maqsud tak mujh ko KHuda le jaega

kaT kar par bhi mujhe sayyaad be-qabu na chhoD

na-tawan hun baad ka jhoka uDa le jaega

rote rote jaan jawegi firaq-e-yar mein

ashk ka dariya mera murda baha le jaega

dil mera muTThi mein rakhte ho tumhaare hath se

chhin kar ek din use duzd-e-hina le jaega

misr tak pahunche na jo kanan se wo yusuf hun main

dast-e-iKHwan se chhuTa to bheDiya le jaega

ek gul us bagh ka bu-e-wafa rakhta nahin

sabza-e-begana shauq-e-ashna le jaega

wada-e-sadiq to izrail se hai dekhiye

is sire se mujh ko kab tak us sira le jaega

baghban gulshan ke darwaze ko kya rakhta hai band

kaun ghunche ki kulah gul ki qaba le jaega

ustuKHwan ujrat mein denge hum faqir ai shah-e-husn

arzi apne shauq ki tujh tak huma le jaega

kashti-e-tan bahr-e-hasti mein rahi barson tabah

par ise ek dam mein is ka naKHuda le jaega

husn dikhla dega ai but tujh mein shan allah ki

tere aage aalam apni iltija jaega

bose lega dast-e-tegh-e-qatil-e-bebak ke

'atish'-e-maqtul apna KHun-baha le jaega

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Fart-e-shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega in PDF.