Dil-lagi Apni Tere Zikr Se Kis Raat Na Thi
dil-lagi apni tere zikr se kis raat na thi
subh tak sham se ya-hu ke siwa baat na thi
iltija tujh se kab ai qibla-e-hajat na thi
teri dargah mein kis roz munajat na thi
ab mulaqat hui hai to mulaqat rahe
na mulaqat thi jab tak ki mulaqat na thi
ghuncha-e-gul ko na hansna tha teri surat se
chhoTe se munh ki saza-war baDi baat na thi
ibtida se tujhe maujud samajhta tha main
mere tere kabhi parde ki mulaqat na thi
ai nasim-e-sahari bahr-e-asiran-e-qafas
tohfa-tar nikhat-e-gul se koi saughat na thi
un dinon ishq rulata tha hamein surat-e-abr
kaun si fasl thi wo jis mein ki barsat na thi
kya kahun us ke jo mujh par karam-e-pinhan the
zahiri yar se har-chand mulaqat na thi
apne bandhe hoe gati tujhe dekha phaDka
dilruba shai thi meri jaan teri gat na thi
ek mein mil gae ai shah-sawar ahl-e-niyaz
naz-e-mashuq tha tu sun ki tere lat na thi
lab ke bose ka hai inkar tajjub ai yar
phere sail se jo munh ko wo teri zat na thi
kamar-e-yar thi az-bas-ki nihayat nazuk
sujhti bandish-e-mazmun ki koi ghat na thi
un dinon hota tha tu ghar mein hamare shab-bash
roz-e-raushan se kam ai mehr-e-liqa raat na thi
be-shuuron ne na samjha to na samjha 'atish'
nukta-sanjon ko latifa thi teri baat na thi
(1167) Peoples Rate This