Dil Shahid-e-rah-e-daman Na Hua Tha So Hua
dil shahid-e-rah-e-daman na hua tha so hua
TukDe TukDe jo gareban na hua tha so hua
barq be-nur hai us ruKH ki chamak ke aage
aalam-e-nur ka insan na hua tha so hua
rone par mere hua hans ke wo gul sharminda
ghuncha san sar-ba-gareban na hua tha so hua
main ne rangin na kiya us ka taDap kar daman
sar-e-jallad pe ehsan na hua tha so hua
ho gaya dekh ke qazi bhi taraf-dar us ka
be-gunah KHun-e-musalman na hua tha so hua
har zaban par meri ruswai ka afsana hai
nusKHa-e-shauq pareshan na hua tha so hua
araq-aluda jabin dekh kai dil Dub gaya
shabnam-e-bagh se tufan na hua tha so hua
qatl kar ke mujhe talwar ko toDa us ne
KHun-e-nahaq se pasheman na hua tha so hua
yar ke ru-e-kitabi ki karun kya tarif
baad quran ke jo quran na hua tha so hua
aansu aankhon se nikalta hai so chingari hai
parda-e-dil se numayan na hua tha so hua
aatish-e-ishq se hai dagh sarapa mera
aadmi sarw-e-charaghan na hua tha so hua
gard-e-rah ban ke hua sandal-e-peshani-e-yar
zarra KHurshid-e-daraKHshan na hua tha so hua
pahron hi misra-e-sauda hai rulata 'atish'
tujhe ai dida-e-giryan na hua tha so hua
(913) Peoples Rate This