Dahan Par Hain Un Ke Guman Kaise Kaise

dahan par hain un ke guman kaise kaise

kalam aate hain darmiyan kaise kaise

zamin-e-chaman gul khilati hai kya kya

badalta hai rang aasman kaise kaise

tumhaare shahidon mein daKHil hue hain

gul-o-lala-o-arghawan kaise kaise

bahaar aai hai nashshe mein jhumte hain

muridan-e-pir-e-mughan kaise kaise

ajab kya chhuTa ruh se jama-e-tan

luTe rah mein karwan kaise kaise

tap-e-hijr ki kahishon ne kiye hain

juda post se ustuKHan kaise kaise

na muD kar bhi be-dard qatil ne dekha

taDapte rahe nim-jaan kaise kaise

na gor-e-sikandar na hai qabr-e-dara

miTe namiyon ke nishan kaise kaise

bahaar-e-gulistan ki hai aamad aamad

KHushi phirte hain baghban kaise kaise

tawajjoh ne teri hamare masiha

tawana kiye na-tawan kaise kaise

dil-o-dida-e-ahl-e-alam mein ghar hai

tumhaare liye hain makan kaise kaise

gham-o-ghussa o ranj-o-andoh-o-hirman

hamare bhi hain mehrban kaise kaise

tere cilk-e-qudarat ke qurban aankhen

dikhae hain KHush-ru jawan kaise kaise

kare jis qadar shukr-e-neamat wo kam hai

maze luTti hai zaban kaise kaise

(3945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dahan Par Hain Un Ke Guman Kaise Kaise In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Dahan Par Hain Un Ke Guman Kaise Kaise is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Dahan Par Hain Un Ke Guman Kaise Kaise for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Dahan Par Hain Un Ke Guman Kaise Kaise in PDF.