Chaman Mein Rahne De Kaun Aashiyan Nahin Malum
chaman mein rahne de kaun aashiyan nahin malum
nihaal kis ko kare baghban nahin malum
mere sanam ka kisi ko makan nahin malum
KHuda ka nam suna hai nishan nahin malum
aKHir ho gae ghaflat mein din jawani ke
bahaar-e-umr hui kab KHizan nahin malum
ye ishtiyaq-e-shahadat mein mahw tha dam-e-qatl
lage hain zaKHm badan par kahan nahin malum
suna jo zikr-e-ilahi to us sanam ne kaha
ayan ko jaante hain hum nihan nahin malum
kiya hai kis ne tariq-e-suluk se aagah
murid kis ka hai pir-e-mughan nahin malum
meri tarah to nahin us ko ishq ka aazar
ye zard rahti hai kyun zafaran nahin malum
jahan o kar-e-jahan se hun be-KHabar main mast
zamin kidhar hai kahan aasman nahin malum
supurd kis ke mere baad ho amanat-e-ishq
uThae kaun ye bar-e-giran nahin malum
KHamosh aisa hua hun main kam-dimaghi se
dahan mein hai ki nahin hai zaban nahin malum
meri tumhaari mohabbat hai shohra-e-afaq
kise haqiqat-e-mah-o-katan nahin malum
kis aaine mein nahin jalwa-gar teri timsal
tujhe samajhte hain hum in-o-an nahin malum
mila tha KHizr ko kis tarah chashma-e-haiwan
hamein to yar ka apne dahan nahin malum
khuli hai KHana-e-sayyaad mein hamari aankh
qafas ko jaante hain aashiyan nahin malum
tariq-e-ishq mein diwana-war phirta hun
KHabar gaDhe ki nahin hai kuan nahin malum
jo ho to shauq hi ho ku-e-yar ka hadi
kisi ko warna sabil-e-jinan nahin malum
dahan mein aap ke albatta hum ko hujjat hai
kamar ka bhed jo puchhun miyan nahin malum
nasim-e-subh ne kaisa ye us ko bhaDkaya
hanuz aatish-e-gul ka dhuan nahin malum
sunenge waqia us ka zaban-e-sausan se
shahid kis ka hai ye arghawan nahin malum
kanar-e-ab chale daur-e-jam ya lab-e-kisht
shikar howe bat-e-mai kahan nahin malum
rasai jis ki nahin ai sanam dar-e-dil tak
yaqin hai us ko tera aastan nahin malum
ajab nahin hai jo ahl-e-suKHan hon gosha-nashin
kisi dahan mein zaban ka makan nahin malum
chhuTenge zist ke phande se kis din ai 'atish'
janaza hoga kab apna rawan nahin malum
(1751) Peoples Rate This