Bulbul Ko Khaar Khaar-e-dabistan Hai In Dinon
bulbul ko KHar KHar-e-dabistan hai in dinon
har tifl ki baghal mein gulistan hai in dinon
zunnar-e-ishq but mein rag-e-jaan hai in dinon
naqus-e-barhaman dil-e-nalan hai in dinon
aabaad mera KHana-e-viran hai in dinon
sailab mujh gharib ka mehman hai in dinon
daman hai apne hath mein ek rashk-e-mah ka
pesh-e-nazar hilal-e-gareban hai in dinon
bagh-e-jahan mein jo hai giraftar hai tera
aazad ek sarw-e-gulistan hai in dinon
kahte hain hum zamin mein majnun ki ab ghazal
har bait apni KHana-e-zindan hai in dinon
kafir ho ai sanam jo KHaride na tu use
mehndi ke mol KHun-e-musalman hai in dinon
hangama husn-o-ishq ka hai garm aaj-kal bahut
diwana-e-pari hai jo insan hai in dinon
masti ka un labon ke fasana kahan nahin
majlis nahin wo jo nahin hairan hai in dinon
sadqe chakor hote hain ruKHsar-e-yar ke
wo mah-e-chaar-dah mah-e-taban hai in dinon
aata hai sair-e-bagh ko wo gauhar-e-murad
phailae gul ke pas jo daman hai in dinon
qad sarw chehra gul hai to sumbul hain mu-e-yar
ghar KHana bagh hai jo wo mehman hai in dinon
jauhar-shanas jama hain 'atish' hai marka
shamshir hai wahi ki jo uryan hai in dinon
(859) Peoples Rate This