Bazar-e-dahr Mein Teri Manzil Kahan Na Thi
bazar-e-dahr mein teri manzil kahan na thi
yusuf na jis mein ho koi aisi dukan na thi
zardi ne mere rang ki mujh ko rula diya
hanswae jo kisi ko ye wo zafaran na thi
zahir se KHub-ruyon ka baatin KHilaf tha
shirin-labon ki tarah se un ki zaban na thi
manzil hi dur hai jo ye pahunchi nahin hanuz
dam lene wali rah mein umr-e-rawan na thi
dikhlai sair aankhon ko baam-e-murad ki
aisi koi kamand koi nardban na thi
qaus-e-quzah se hum ne bhi tashbih di use
chilla na hone se jo wo abru kaman na thi
aagah jazb-e-ishq-e-zuleKHa se tha na husn
yusuf ko chah mein KHabar-e-karwan na thi
yaad aa gai jo silk-e-guhar tere gosh ki
suhan-e-ruh thi mujhe shab kahkashan na thi
rah jaana pichhe jism ka jaan se ajab nahin
kis karwan ki gard pas-e-karwan na thi
na-fahmi ki dalil hai ye sajda se aaya
iblis ko haqiqat-e-adam ayan na thi
aashiq ke sar ke sath hai sauda-e-ku-e-yar
momin na tha wo jis ko hawa-e-jinan na thi
bang-e-jaras se aage har ek ka qadam raha
gard apne karwan ke pas-e-karwan na thi
afsos kya jawani-e-rafta ka kijiye
wo kaun si bahaar thi jis ko KHizan na thi
nalon se ek din na kiye garm gosh-e-yar
'atish' magar tumhaare dahan mein zaban na thi
(1062) Peoples Rate This