Bala-e-jaan Mujhe Har Ek KHush-jamal Hua
bala-e-jaan mujhe har ek KHush-jamal hua
chhuri jo tez hui pahle main halal hua
girau hua to use chhuTna muhaal hua
dil-e-gharib mera muflison ka mal hua
kami nahin teri dargah mein kisi shai ki
wahi mila hai jo muhtaj ka sawal hua
dikha ke chehra-e-raushan wo kahte hain sar-e-sham
wo aaftab nahin hai jise zawal hua
dukha na dil ko sanam ittihad rakhta hun
mujhe malal hua to tujhe malal hua
bujhaya aankhon ne wo ruKH talash-e-mazmun mein
KHayal-e-yar mera sher ka KHayal hua
tere shahid ke jeb-e-kafan mein ai qatil
gulal se bhi hai rang-e-abir lal hua
buland KHak-nashini ne qadr ki meri
uruj mujh ko hua jab ki paemal hua
ghazab mein yar ke shan-e-karam nazar aai
banaya sarw-e-charaghan jise nihaal hua
yaqin hai dekhte sufi to dam nikal jata
hamare wajd ke aalam mein hai jo haal hua
wo na-tawan tha irada kiya jo khane ka
gham-e-firaq ke danton mein main KHilal hua
kiya hai zar ye teri kamar ke saude ne
paDa jo aks mera aaine mein baal hua
dikhani thi na tumhein chashm-e-surmagin apni
nigah-e-naz se wahshat-zada ghazal hua
dahan-e-yar ke bose ki dil ne raghbat ki
KHayal-e-KHam kiya talib-e-muhaal hua
raha bahaar-o-KHizan mein ye haal saude ka
baDha to zulf hua ghaT gaya to KHal hua
junun mein aalam-e-tifli ki baadshahat ki
khilauna aankhon mein apni har ek ghazal hua
suna jamil bhi tera jo nam ai mahbub
hazar jaan se dil banda-e-jamal hua
likha hai aashiqon mein apne tu ne jis ka nam
phir us ka chehra nahin umr bhar bahaal hua
gunah kisi ne kiya thartharaya dil apna
araq araq hue hum jis ko infial hua
tere dahan o kamar ka jo zikr aaya yar
guman-o-wahm ko kya kya na ehtimal hua
kamal kaun sa hai wo jise zawal nahin
hazar shukr ki mujh ko na kuchh kamal hua
tumhaari abru-e-kaj ka tha duj ka dhoka
siyah hota agar id ka hilal hua
diya jo ranj tere ishq ne to rahat thi
firaq-e-talKH to shirin mujhe visal hua
wahi hai lauh-e-shikast-e-tilism-e-jism 'atish'
jab e'tida-e-anasir mein iKHtilal hua
(1149) Peoples Rate This