Ai Junun Hote Hain Sahra Par Utare Shahr Se

ai junun hote hain sahra par utare shahr se

fasl-e-gul aai ki diwane sidhaare shahr se

KHub roe haal par apne watan ka sun ke haal

koi ghurbat mein jo aa nikla hamare shahr se

jaan dunga main asir ai dosto chupke raho

zikr kya us ka ki diwana sudhaare shahr se

mausam-e-gul mein raha zindan mein aur aai na maut

samne hoti nahin hai aankh sare shahr se

josh-e-wahshat mein jo li zindan se main ne rah-e-dasht

kud-kan mujh ko KHuda-hafiz pukare shahr se

panw mein majnun ke to taqat nahin ai kudko

mausam-e-gul ki hua tum ko ubhaare shahr se

ek nazar lillah hum ko surat-e-zeba dikhao

tishna-e-didar jate hain tumhaare shahr se

dasht-gardi ki nahin diwane ko kuchh ehtiyaj

jame se bahar jo hai bahar hai sare shahr se

unT si lagti hai dil jangal se hota hai uchaT

sang-e-tiflan karte hain mujh ko ishaare shahr se

lash-e-wahshat se nahin pahuncha main sahra tak hanuz

jaane wale gor ke pahunche kinare shahr se

mausam-e-gul aai niyyat ser diwanon ki ho

mewa-e-sahrai par hain munh pasare shahr se

ab to aazurda hai tu lekin malega hath phir

jis ghaDi 'atish' nikal jawega pyare shahr se

(1030) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Junun Hote Hain Sahra Par Utare Shahr Se In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Ai Junun Hote Hain Sahra Par Utare Shahr Se is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Ai Junun Hote Hain Sahra Par Utare Shahr Se for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Ai Junun Hote Hain Sahra Par Utare Shahr Se in PDF.