Aarif Hai Wo Jo Husn Ka Juya Jahan Mein Hai
aarif hai wo jo husn ka juya jahan mein hai
bahar nahin hai yusuf isi karwan mein hai
piri mein shughl-e-mai hai jawanana roz-o-shab
bu-e-bahaar aati hamari KHizan mein hai
hota hai gul ke sunghe se duna girafta dil
mujh sa bhi bad-dimagh kam is bostan mein hai
pusht-e-KHamida dekh ke hota hun nara-zan
karta hun sarf-e-tir jo zor is kaman mein hai
dikhla rahi hai dil ki safa do-jahan ki sair
kya aaina laga hua apne makan mein hai
diwana jo na ishq se ho aadmi nahin
husn-e-pari ka jalwa tilism-e-jahan mein hai
parwanon ki tarah hai hujum-e-qadah-kashan
raushan charagh-e-baada jo mugh ki dukan mein hai
us dilruba ke kuche mein aage hawa se jae
itni to jaan ab bhi tan-e-na-tawan mein hai
duniya se kuch karna hai ek roz rahrawo
bang-e-jaras se shor yahi karwan mein hai
paDh sakta sarnawisht ka matlab koi nahin
malum kuchh nahin ki ye KHat kis zaban mein hai
aainda-o-rawinda ki chalti hain Thokaren
jada jo apna tha usi KHwab-e-giran mein hai
kushte hain bagh mein bhi teri tegh-e-naz ke
bu-e-shahid lala mein aur arghawan mein hai
aashiq ke rang-e-zard ko dekho to hans paDo
tasir us mein bhi hai wo jo zafaran mein hai
madum wo kamar hai na mauhum wo dahan
kahte hain shaer un ke jo kuchh kuchh guman mein hai
gul TuTte hain hote hain bulbul asir-e-dam
sayyaad mustaid madad-e-baghban mein hai
sarkash ki manzilat hai subuk pesh-e-KHaksar
wo tamkanat zamin ki kahan aasman mein hai
sumbul se haal-e-gul hun main ye kah ke puchhta
kis silsile mein tu hai ye kis KHandan mein hai
dil mein KHayal-e-gesu-e-mushkin hai bad bala
ye murgh-e-ruh ke liye sanp aashiyan mein hai
hikmat se hai ye KHak ka putla bana hua
nur aankh mein hai us ke to maghz ustuKHan mein hai
'atish' buland-paya hai dargah yar ki
haftum falak ki rifat isi aastan mein hai
(881) Peoples Rate This