AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam
aaKHir-e-kar chale tir ki raftar qadam
ghair manzil na paDe rah mein zinhaar qadam
uTh gae wasl ki shab peshtar-az-yar qadam
aage hum umr-e-rawan se bhi chale chaar qadam
ku-e-maqsud se yun rakhti hai ghaflat mujhe dur
jaise so jaane se ho jate hain be-kar qadam
ahl-e-alam mein hun main zindon mein murdon ki tarah
baDh chalen lakh magar sath hain do chaar qadam
ek muddat se rah-e-kaba mein aawara hain
kya KHuda ka mujhe dikhlaenge didar qadam
josh-e-wahshat mein bhi main chaDh ke na us par dauDa
le gae hasrat-e-KHar-e-sar-e-diwar qadam
surat-e-barg-e-KHizan jhaDte hain har gam gunah
jab uThate hain teri rah mein zawwar qadam
ai junun koh-o-bayaban bhi dikhla mujh ko
rahen pasti o bulandi se KHabar-dar qadam
kucha-gardi ye shab-o-roz ki be-wajh nahin
eDiyan ragDenge kis ke pas-e-diwar qadam
jada-e-rah-e-mohabbat ko KHat-e-mustar jaan
sar ke bal misl-e-qadam chal jo hon be-kar qadam
KHak bhi hun to hun KHak-e-dar us ka 'atish'
jis ke the dosh-e-payambar ke saza-war qadam
(869) Peoples Rate This