Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5a096c55b7834b8e4099cd50fdb02e68, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum

aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum

pherenge apni taraf ru-e-dil-aram ko hum

sham se subh talak daur-e-sharab aaKHir hai

rote hain dekh ke KHandan dahan-e-jam ko hum

yaad rakhne ki jagah hai ye tilism-e-hairat

subh ko dekhte hi bhul gae sham ko hum

aankh wo fitna-e-dauran kise dikhlata hai

shoabada jaante hain gardish-e-ayyam ko hum

fitna-angezi bhi chhupti hai kahin parde mein

sunte hain gabr o musalman se tere nam ko hum

KHun-e-qasid to wo saffak samajhta hai halal

kisi ghammaz se bhejwaenge paigham ko hum

panw pakDe hain zamin ne ye tere kucha ki

rah-e-sad-sala samajhte hain ab ek gam ko hum

dida-e-yar kahen kya use kaif-e-mai mein

bhun kar roz gazak karte hain baadam ko hum

beza-e-KHat se hui us ki kudurat dah-chand

ab safai ke liye DhunDenge hajjam ko hum

yahi tahsil-e-mohabbat ka hai aalam ta-haal

puKHta karte hain hanuz aarzu-e-KHam ko hum

lutf hasil ho jo zulfon mein giraftari ka

mol len dil ki asiri ke liye dam ko hum

kucha-e-yar mein apna jo guzar hota hai

nigaran rahte hain hasrat se dar-o-baam ko hum

husn se ishq ki KHatir hai KHuda ne bheja

karte hain 'atish' use aae hain jis kaam ko hum

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Aaina-KHana Karenge Dil-e-nakaam Ko Hum in PDF.