Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4412fbbc2158b8e5f7df95061f43771f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe - Haidar Ali Aatish Poetry In English - Darsaal

Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe

aable paon ke kya tu ne hamare toDe

KHar-e-sahra-e-junun arsh ke tare toDe

zaqan o ruKH mein na jasuson se baqi rakkhi

samar-e-gul chaman-e-husn ke sare toDe

silsila apni giraftari ka kab qata hua

pahni pazeb unhon ne jo utare toDe

mast mujh sa bhi koi nashsha ka hoga na haris

pi ke mai jam ke danton se kinare toDe

sharbat-e-wasl hai tanqid ki KHatir maujud

tap-e-hijr aa ke badan ko na hamare toDe

KHatm duzdida nigah par hai teri tarrari

dil nahin toDe ahibba ke piTare toDe

aa gaya wo shajar-e-husn nazar jab hum ko

bosa le kar lab-e-shirin ke chuware toDe

ishq be-dard se karne ko kaha tha kis ne

sar ko Takra ke na dil dard ke mare toDe

kunj-e-uzlat mein biThaya hai KHuda ne 'atish'

ab jo tum yan se hile paon tumhaare toDe

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Aable Paon Ke Kya Tu Ne Hamare ToDe in PDF.