Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_de3848b863d3c34726ceeb3bc0ba0ad3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya - Hafiz Taib Poetry In English - Darsaal

Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya

patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya

kaise amiT nuqush koi chhoDta gaya

simTa tera KHayal to gul-rang ashk tha

phaila to misl-e-dasht-e-wafa phailta gaya

sochon ki gunj thi ki qayamat ki gunj thi

tera sukut hashr ke manzar dikha gaya

ya teri aarzu mujhe le aai is taraf

ya mera shauq rah mein sahra bichha gaya

wo jis ko bhulne ka tasawwur muhaal tha

wo ahd rafta rafta mujhe bhulta gaya

jab us ko pas-e-KHatir-e-azurdagan nahin

muD muD ke kyun wo dur talak dekhta gaya

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya In English By Famous Poet Hafiz Taib. Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya is written by Hafiz Taib. Read famous Poem Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya for youth and Student by Hafiz Taib. Free Download Patthar Mein Fan Ke Phul Khila Kar Chala Gaya in PDF.