Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b17c71c6e203c5ae7bd3317ac9ce7165, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai - Hafiz Taib Poetry In English - Darsaal

Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai

ek naya karb mere dil mein janam leta hai

qafila dard ka kuchh der jo dam leta hai

rang pata hai mere KHun-e-jigar se gul-e-sher

sabza-e-fikr meri aankh se nam leta hai

aabru haqq-o-sadaqat ki baDha deta hai

jab bhi suqraat koi saghar-e-sam leta hai

raat ke sae mein shabnam ke guhar Dhalte hain

raat ki kokh se KHurshid janam leta hai

zehn be-nam dhundlakon mein bhaTak jata hai

aaj fankar jo hathon mein qalam leta hai

jis ko ho daulat-e-ehsas mayassar 'taib'

chain wo kar-gah-e-zist mein kam leta hai

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai In English By Famous Poet Hafiz Taib. Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai is written by Hafiz Taib. Read famous Poem Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai for youth and Student by Hafiz Taib. Free Download Ek Naya Karb Mere Dil Mein Janam Leta Hai in PDF.