Ek Dard Sa Pahlu Mein Machalta Hai Sar-e-sham

ek dard sa pahlu mein machalta hai sar-e-sham

jab chand jharoke mein nikalta hai sar-e-sham

be-nam si ek aag dahak uThti hai dil mein

mahtab jo ThanDak si ugalta hai sar-e-sham

kuchh der shafaq phulti hai jaise ufuq par

aise hi mera haal sambhalta hai sar-e-sham

ye dil hai mera ya kisi kuTiya ka diya hai

bujhta hai dam-e-subh to jalta hai sar-e-sham

banta hai wo ek chehra kabhi gul kabhi shoala

sanche mein KHayalon ke jo Dhalta hai sar-e-sham

chhaT jati hai aalam-e-zamana ki siyahi

jab daur teri yaad ka chalta hai sar-e-sham

main dur bahut dur pahunch jata hun 'taib'

ruKH soch ka dhaara jo badalta hai sar-e-sham

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Dard Sa Pahlu Mein Machalta Hai Sar-e-sham In English By Famous Poet Hafiz Taib. Ek Dard Sa Pahlu Mein Machalta Hai Sar-e-sham is written by Hafiz Taib. Read famous Poem Ek Dard Sa Pahlu Mein Machalta Hai Sar-e-sham for youth and Student by Hafiz Taib. Free Download Ek Dard Sa Pahlu Mein Machalta Hai Sar-e-sham in PDF.