Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b2afff30a31c714f0dd8b08c18d8303c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai - Hafiz Ludhiyanvi Poetry In English - Darsaal

Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai

har sher ghazal ka kah raha hai

tujh ko bhi bichhaD ke dukh hua hai

hai shola-e-jaan mein yaad teri

kya aag mein phul khil raha hai

KHurshid-e-sahar tulua ho kar

shabnam ka mizaj puchhta hai

kya us ko bataun hijr ke gham

jis par mera haal aaina hai

main kis se kahun fasana-e-gham

har ek ka dil dukha hua hai

kyun aa gai darmiyan duniya

ye tera mera moamla hai

kya paoge but se faiz 'hafiz'

patthar bhi kahin KHuda bana hai

(880) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai In English By Famous Poet Hafiz Ludhiyanvi. Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai is written by Hafiz Ludhiyanvi. Read famous Poem Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai for youth and Student by Hafiz Ludhiyanvi. Free Download Har Sher Ghazal Ka Kah Raha Hai in PDF.