Hai Wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa Bhi
hai wajh-e-sukun-e-dil-e-ashufta-nawa bhi
wo aankh ki hai fitna-e-sad-hush-ruba bhi
hai kar-e-junun ahl-e-junun ke liye aasan
ye kaam kabhi ahl-e-farasat se hua bhi
taskin-e-dil-o-jaan hai agar wo ruKH-e-zeba
us qamat-e-zeba mein hai ek hashr chhupa bhi
jo samne aae to meri samt na dekhe
deta hai shab-e-hijr wahi mujh ko sada bhi
utre jo wo sine mein to ilham ki surat
Thahre to larazne lage shabnam ki rida bhi
uTThe to qayamat bhi qadam chum ke guzre
al-qissa wo andaz hai aafat bhi bala bhi
'hafiz' mere sine mein farozan hai abhi tak
wo dard sikhata hai jo jine ki ada bhi
(776) Peoples Rate This