Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d98e834ee4419b2123d9b7f54f9341bf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha - Hafeez Merathi Poetry In English - Darsaal

Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha

tamam raat aansuon se gham ujalta raha

main gham ujal ujal kar KHushi mein Dhaalta raha

jawan meri himmaten buland mere hausle

hisar toDta raha kamand Dalta raha

bahut hi talKH tajraba tumhaari bazm mein hua

har aadmi meri ana ke bal nikalta raha

hain iltawa ki god ke palle sab us ke masale

kisi ko hal nahin kiya hamesha Talta raha

tere KHilaf is liye meri zaban na khul saki

main apni KHamiyon pe bhi nigah Dalta raha

KHayal-e-yar teri nigahdasht is tarah hui

dimagh thak ke so gaya to dil sambhaalta raha

'hafiz' kya sunaun apni KHwahishon ki dastan

pila pila ke dudh kitne sanp palta raha

(1306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha In English By Famous Poet Hafeez Merathi. Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download Tamam Raat Aansuon Se Gham Ujalta Raha in PDF.