Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e76acdbdb60d76f00a9c1e974980f259, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar - Hafeez Merathi Poetry In English - Darsaal

Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar

sitam ki tegh ye kahti hai sar na uncha kar

pukarti hai bulandi ki zindagi hai idhar

chaman mein hum na rahenge tere palaTne tak

Thahar Thahar zara jati hui bahaar Thahar

koi fareb na khae safed-poshi se

na jaane kitne sitare nigal gai hai sahar

tu jauhri hai to zeba nahin tujhe ye gurez

mujhe parakh meri shohrat ka intizar na kar

'hafiz' kitne hi chehre udas hone lage

hamare fan ko sarahen bahut na ahl-e-nazar

(1581) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar In English By Famous Poet Hafeez Merathi. Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download Sitam Ki Tegh Ye Kahti Hai Sar Na Uncha Kar in PDF.