Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_32777cedeeef0f5948455eba8211218e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila - Hafeez Merathi Poetry In English - Darsaal

Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila

gudaz-e-dil se mila sozish-e-jigar se mila

jo qahqahon mein ganwaya tha chashm-e-tar se mila

talluqat ke ai dil hazar pahlu hain

na jaane mujh se wo kis nuqta-e-nazar se mila

kabhi thakan ka kabhi faslon ka rona hai

safar ka hausla mujh ko na ham-safar se mila

main dusron ke liye be-qarar phirta hun

ajib dard mujhe mere chaara-gar se mila

har inqalab ki tariKH ye batati hai

wo manzilon pe na paya jo rahguzar se mila

na main ne soz hi paya na istaqamat hi

hajar hajar ko TaTola shajar shajar se mila

'hafiz' ho gaya aaKHir ajal se ham-aghosh

tamam shab ka sataya hua sahar se mila

(1134) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila In English By Famous Poet Hafeez Merathi. Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download Gudaz-e-dil Se Mila Sozish-e-jigar Se Mila in PDF.