Be-sahaaron Ka Intizam Karo
be-sahaaron ka intizam karo
yani ek aur qatl-e-am karo
KHair-KHwahon ka mashwara ye hai
Thokaren khao aur salam karo
dab ke rahna hamein nahin manzur
zalimo jao apna kaam karo
KHwahishen jaane kis taraf le jaen
KHwahishon ko na be-lagam karo
mezbanon mein ho jahan an-ban
aisi basti mein mat qayam karo
aap chhaT jaenge hawas wale
tum zara be-ruKHi ko aam karo
DhunDte ho giron paDon ko kyun
uDne walon ko zer-e-dam karo
dene wala baDai bhi dega
tum samai ka ehtimam karo
bad-dua de ke chal diya wo faqir
kah diya tha ki koi kaam karo
ye hunar bhi baDa zaruri hai
kitna jhuk kar kise salam karo
sar-phiron mein abhi hararat hai
in jiyalon ka ehtiram karo
sanp aapas mein kah rahe hain 'hafiz'
aastinon ka intizam karo
(1269) Peoples Rate This