Zamane Ka Bharosa Kya Abhi Kuchh Hai Abhi Kuchh Hai

zamane ka bharosa kya abhi kuchh hai abhi kuchh hai

yahi hai rang duniya ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

jawani ki hai aamad husn ki har-dam taraqqi hai

teri surat tera naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai

na aaega qarar us ko na mumkin hai qayam us ko

hamara dil tera wada abhi kuchh hai abhi kuchh hai

kabhi to justuju us ki kabhi gum aap ho jaana

meri wahshat mera sauda abhi kuchh hai abhi kuchh hai

ghurur-e-husn hai sar mein KHayal-e-dilbari dil mein

dimagh un ka mizaj un ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

zara main mehrban hona zara main jaan ke dushman

ajab dil hai hasinon ka abhi kuchh hai abhi kuchh hai

tumhein kyun is qadar gham hai 'hafiz' apni tabahi ka

yahi duniya ka hai naqsha abhi kuchh hai abhi kuchh hai

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamane Ka Bharosa Kya Abhi Kuchh Hai Abhi Kuchh Hai In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Zamane Ka Bharosa Kya Abhi Kuchh Hai Abhi Kuchh Hai is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Zamane Ka Bharosa Kya Abhi Kuchh Hai Abhi Kuchh Hai for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Zamane Ka Bharosa Kya Abhi Kuchh Hai Abhi Kuchh Hai in PDF.