Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz
yun uTha de hamare ji se gharaz
ho na tere siwa kisi se gharaz
wo manaega jis se ruThe ho
hum ko minnat se aajizi se gharaz
ye bhi ehsan hai qanaat ka
apni aTki nahin kisi se gharaz
ye mahal bhi maqam-e-ibrat hai
aadmi ko ho aadmi se gharaz
dard-mandon ko kya dawa se kaam
gham-nasibon ko kya KHushi se gharaz
husn aaraishon ka ho muhtaj
us ko aaine aarsi se gharaz
chur hain nashsha-e-mohabbat mein
mai se matlab na mai-kashi se gharaz
der tak did ke maze luTe
KHub nikli ye be-KHudi se gharaz
be-niyazi ki shan hi ye nahin
us ko bandon ki bandi se gharaz
teri KHatir aziz hai warna
mujh ko dushman ki dosti se gharaz
hum mohabbat ke bande hain waiz
hum ko kya bahs mazhabi se gharaz
dair ho kaba ho kalisa ho
us ki dhun us ki bandagi se gharaz
shaiKH ko is qadar pilate kyun
mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz
us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz'
aur hi kuchh hai shairi se gharaz
(829) Peoples Rate This