Yun To Hasin Akasr Hote Hain Shan Wale

yun to hasin akasr hote hain shan wale

lekin kuchh aur hai tu o aan-ban wale

naqus-e-dair phunkun kabe mein ya azan dun

tujh ko kahan pukarun o la-makan wale

mimbar pe baiTh kar tu itna bahak na waiz

kaisi ye nichi baaten unchi dukan wale

ye husn ye jawani mehman hai chand roza

is par na kar ye ghurra o aan-ban wale

kabe ko shaiKH jae but-KHane ko barahman

yunhi DaTe rahenge us aastan wale

abru pe Dal kar bal tirchhi nazar na kar tu

ye tir kaj paDega banki kaman wale

ghairon pe to nazar hai meri bhi kuchh KHabar hai

main bhi miTa hua hun o aan-ban wale

talwar khinch kar kya bazu ko dekhta hai

do hath bas laga de ab imtihan wale

qael tera jahan hai han farq darmiyan hai

kuchh hain yaqin wale kuchh hain guman wale

farhad qais donon de baiThe jaan aaKHir

marte hain baat hi par jitne hain aan wale

wo kis liye bulaen jaen 'hafiz' hum kyun

wo bhi hain shan wale hum bhi hain aan wale

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Hasin Akasr Hote Hain Shan Wale In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Yun To Hasin Akasr Hote Hain Shan Wale is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Yun To Hasin Akasr Hote Hain Shan Wale for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Yun To Hasin Akasr Hote Hain Shan Wale in PDF.