Ye Sab Kahne Ki Baaten Hain Ki Aisa Ho Nahin Sakta
ye sab kahne ki baaten hain ki aisa ho nahin sakta
mohabbat mein jo dil mil jae phir kya ho nahin sakta
shikayat ho nahin sakti ki shikwa ho nahin sakta
zara sa chheD de koi to phir kya ho nahin sakta
burai ka ewaz hargiz bhalai ho nahin sakti
bura kah kar kisi ko koi achchha ho nahin sakta
hamara un ka qissa log sunte hain to kahte hain
maza hai hashr tak yaksu ye jhagDa ho nahin sakta
karen teri shikayat kya ki tu ek dost hai apna
kisi dushman ka bhi hum se to shikwa ho nahin sakta
ilahi jazb-e-dil ki is kashish se baz aaya main
koi parda-nashin kahta hai parda ho nahin sakta
'hafiz' un ki ghazal hai choT kha baiThi hain jo dil par
baghair is ke suKHan mein lutf paida ho nahin sakta
(911) Peoples Rate This