Yahi Masala Hai Jo Zahido To Mujhe Kuchh IsMein Kalam Hai
yahi masala hai jo zahido to mujhe kuchh is mein kalam hai
wahi shai halal hai KHuld mein wahi mai-kade mein haram hai
meri aankh mein jo sama gaya mere dil mein jis ka maqam hai
abhi mujh se hai wo alag-thalag na payam hai na salam hai
yahi kahna us se payambar ki bas aaKHiri ye payam hai
jo zara bhi jaane mein der ki to kisi ka kaam tamam hai
kabhi qata ki meri guftugu kabhi kah diya mujhe kya hai tu
ye bata tu o but-e-jang-ju koi ye bhi tarz-e-kalam hai
koi zikr ghair ka ye na tha jise aap sun ke hue KHafa
mujhe apne baKHt se hai gila mujhe apne dil se kalam hai
jo chala to bazm-e-surur mein jo raha to aalam-e-nur mein
mere dil mein kaif-e-mudam hai mere sar mein gardish-e-jam hai
wahi shikwa tujh ko raqib ka wahi rona apne nasib ka
ye bata tu o dil-e-mubtala tujhe aur bhi koi kaam hai
mera nam le ke na kosiye ye kaha to hans ke wo bol uThe
mujhe kya KHabar thi zamane mein faqat aap hi ka ye nam hai
mujhe kufr o din se gharaz nahin ki main ek banda-e-ishq hun
koi shaiKH ho ki ho barahman mera dur hi se salam hai
wahi aasman hai wahi zamin magar aankh us ki jo phir gai
na wo din hai ab na wo raat hai na wo subh hai na wo sham hai
bahut aur mahir-e-fan hain yun bahut aur ahl-e-suKHan hain yun
magar aa gaya jo pasand unhen wo 'hafiz' hi ka kalam hai
(972) Peoples Rate This