Wo Hasin Baam Par Nahin Aata
wo hasin baam par nahin aata
chand apna nazar nahin aata
huk uThti nahin hai kab dil se
munh ko kis din jigar nahin aata
kaun is bekasi mein pursan hai
hosh do do pahar nahin aata
ye bhi sunna tha wae nakaami
marte hain aur mar nahin aata
thi kabhi baat baat mein tasir
ab dua mein asar nahin aata
khel hai kya mizaj-dan hona
kaam ye umr bhar nahin aata
sadgi ka hun us ki diwana
abhi jis ko sanwar nahin aata
be-KHudi hai ki chhai jati hai
hosh aata nazar nahin aata
ye hasin aur iltijaen 'hafiz'
rahm tum ko magar nahin aata
(808) Peoples Rate This