Wo Ham-kanar Hai Jam-e-sharab Hath Mein Hai
wo ham-kanar hai jam-e-sharab hath mein hai
baghal mein chand hai aur aaftab hath mein hai
pila ke pir ko saghar jawan banata hai
maza hai pir-e-mughan ke shabab hath mein hai
bar aai aaj mere dil ki aarzu sad shukr
ki daman aap ka roz-e-hisab hath mein hai
ye aae kis ke qadam dast-e-mauj se dariya
liye hue jo kulah habab hath mein hai
araq visal mein ponchha hai gul se galon ko
yahi hai wajh ki bu-e-gulab hath mein hai
bin aai hai mere dast-e-hawas ki wasl ki shab
hina lagae jo wo mast-e-KHwab hath mein hai
hawa se tez wo aata hai nama-bar mera
niyaz-name ka mere jawab hath mein hai
khile hain gul gul aariz ke wasf mein sar-e-dast
qalam mera hai ki shaKH-e-gulab hath mein hai
'hafiz' aap ka diwan ye hua maqbul
ki jis ko dekho liye ye kitab hath mein hai
(801) Peoples Rate This